Published by – Goutam Kumar Jena
Category - Education & Subcategory - Murali
Summary - Murali, Srimat Bhagabat Gita, Magic Flute, Brahmakumaris Murali
Who can see this article:- All
Your last visit to this page was @ 2018-04-03 17:37:47
Create/ Participate in Quiz Test
See results
Show/ Hide Table of Content of This Article
See All pages in a SinglePage View
A
Article Rating
Participate in Rating,
See Result
Achieved( Rate%:- 79%, Grade:- -- )
B Quiz( Create, Edit, Delete )
Participate in Quiz,
See Result
Created/ Edited Time:- 21-06-2017 01:35:59
C Survey( Create, Edit, Delete) Participate in Survey, See Result Created Time:-
D
Page No Photo Page Name Count of Characters Date of Last Creation/Edit
1 Image Murali Dtd 8th June 2017 1596 2017-06-12 21:17:25
2 Image 9th June 2017 1515 2017-06-09 18:52:33
3 Image 10th june 2017 - English version 1464 2017-06-09 18:52:36
4 Image 11th June 2017 4331 2017-06-20 19:54:47
5 Image june 12th 2017 1384 2017-06-12 21:17:25
6 Image 13th June 2017 475 2017-06-12 21:17:25
7 Image Murali 19th Jun 2017 1472 2017-06-20 20:05:59
8 Image Murali 20th Jun 2017 1653 2017-06-20 20:05:59
Article Image
Details ( Page:- Murali Dtd 8th June 2017 )

08.06.17                                    

Pratah Murli Om Shanti Babdada Madhuban


Mithe bacche - deha sahit in aankho se jo kuch dekhte ho- usey bhool ek Baap ko yaad karo kyunki ab yah sab khatam hone wala hai.


Q- Satyug me rajya pad ki lottery win karne ka purusharth kya hai?


A- Satyug me rajya pad lena hai to apne upar poori nazar rakho. Andar koi bhi bhoot na rahe. Agar koi bhi bhoot hoga to lakshmi ko bar nahi sakenge. Raja banne ke liye Praja bhi banani hai. 2) Yahan he rona proof banna hai. Kisi deha dhaari ki yaad me sonk aaya, sarir choota to pad bhrast ho jayega isiliye Baap ki yaad me rehne ka purusharth karna hai.


Dharna ke liye mukhya saar

D- 1) Kisi bhi deha dhaari me apni buddhi nahi latkani hai. Yaad ka record thik rakhna hai. Kabhi bhi rona nahi hai._______

2) Apne shanti swadharm me sthit rehna hai. Shanti ke liye bhatakna nahi hai. Sabko is bhatakne se choodana hai. Shantidham aur Sukhdham ko yaad karna hai.


Vardaan


V- Kalp Kalp ke bijay ki noondh ko smruti me rakh sada nischint rehne wale nischay buddhi bijay bhava.-------Nischay buddhi bacche byabahar wa parmarth ke har karya me sada bijay ki anubhooti karte hain. Bhal kaisa bhi sadharan karm ho, lekin unhe bijay ka adhikar abasya prapt hota hai. Way koi bhi karya me swayang se dilsikasth nahi hote kyunki nischay hai ki kalp kalp ke hum bijayi hai. Jiska madadgar swayang Bhagwan hai uski bijay nahi hogi to kiski hogi, is bhavi ko koi taal nahi sakta! Yah nischay aur nasha nischint bana deta hai.


Slogan


S- Sada khushi ki khoorak dwara tandroost, khushi ke khazane se sampann khushnoom: bano.


End of Page
Article Image
Details ( Page:- 9th June 2017 )

09.06.17


Pratah Murli Om Shanti Babdada Madhuban

Mithe bacche - Devtaon se bhi oonch yah tumhari Brahman jeevan hai kyunki is samay tum tino loko aur tino kalo ko jaante ho, tum Ishwariya santaan ho.


Q- Tum bacche abhi kaun si oonchi chadhayi chadhte ho?


A- Manushya se devta banna yah oonchi chadhayi hai, jis par tum chadh rahe ho. Kehte bhi hain chadhe to chakhe prem ras.......yah bahut lambi chaadhi hai. Lekin wonder hai jo chadhte ek second me ho, utarne me time lagta hai.


Q- Paap ka ghada phootne se he jayjaykaar hoti hai, iski kaun si nishaani Bhaktimarg me hai?


A- Dikhate hain ghade se Sita nikli.....arthat jab paap ka ghada bharkar phoota tab Sita aur Radhe ka janma hota hai.


Dharna ke liye mukhya saar


D- 1) Behad ki history geography padhni aur padhani hai. Sarv alankaro ko dharan karne ke liye pavan farista banna hai._______2) Buddhiwano ki buddhi ek Baap hai, unki he shrimat par chal buddhiwan banna hai. Yah Brahman jeevan amulya hai - is nashe me rehna hai.


Vardaan


V- Ek pass sabd ki smruti dwara kisi bhi paper me full pass hone wale pass with honour bhava.-------Kisi bhi paper me full pass hone ke liye us paper ke question ke bistaar me nahi jao, aisa nahi socho ki yah kyun aaya, kaise aaya, kisne kiya? Iske bajaye pass hone ka soch kar paper ko paper samajhkar pass kar lo. Sirf ek pass sabd smruti me rakho ki hume pass hona hai, pass karna hai aur Baap ke paas rehna hai to pass with honour ban jayenge.


Slogan


Swayang ko Paramatma pyaar ke pichhe kurban karne wale he safaltamurt bante hain.


End of Page
Article Image
Details ( Page:- 10th june 2017 - English version )

10-06-2017-Eng

Sweet children, the Father is laying the foundation of heaven. You children have to become His helpers and accumulate your share. Follow God’s directions and create your elevated reward.


Q- What type of children is BapDada always on the lookout for?


A- The Father is always on the lookout for children who are very, very sweet, who have cool natures and are serviceable. Only serviceable children will glorify the Father's name. To the extent you become a helper of the Father and are obedient and trustworthy, so you claim a right to the inheritance.


D- 1.There is sorrow in everything in this world of Maya.Therefore, do not have any desires connected with this old world. Even if storms of Maya come, never defame the family.______2.Take precautions with your diet. Be very tactful when you go to a party etc.


V- May you claim a right to the first number kingdom by burning all your weaknesses through tapasya.________In order to claim a right to becoming the souls of the first number kingdom in the first birth, burn all your weaknesses in the fire of yoga of tapasya. To concentrate your mind and intellect means to have just one thought and to pass fully. If your mind and intellect are even slightly disturbed, then have the determination, to make them concentrate. Ending waste thoughts will take you close to perfection.


S- Do not be those who count the time, but count the Father’s virtues and your own and become complete.

code-  06102017


End of Page
Article Image
Details ( Page:- 11th June 2017 )

11.06.17


Pratah Murli Om Shanti Babdada Madhuban

Laukik, alokik sambandh ka tyag"


avyakt baap dada revise 08-04-1982


Aaj baap dada apne mahadani, vardani vises aatmao ko dekh rahe hain Mahadani, Vardani

Banne Ka Aadhar Hai mahatyagi 

Mahadani athrit mile huye khazane bina sawarth ke sarv 

aatmao parti dene wale-niswarthy I

Sav ke swarth se pre aatma hi mahadani ban sakti hai I

Vardani, Sada savy mein guno, saktiyo aur gian ke khazane se sampn aatma sda hi sarv 

Aatmao parti sarest aur subh bhawnao tatha sarv ka kalyan ho, 

aaisi sarest kamna rakhna

Wali sda ruhani rahemdil, farakhdil, esi aatma vardani ban sakti hai I 

Tyag ki paribhasa bhi

Sunai hai ke pehla tyag hai – deh ki samrti ka tyag I 

dusri deh ki sambhand ka tyag I 

deh ki Sabhand mein pehli bat kamendriyo ke sabhand ki sunai- kyuki 24 ghante ka sambhand in

Kamendriyo ke sat hai I 

Ab tisri bat ye hai deh ke sat viyakti ke sambhand ki I 

Isliye lokik Tatha alokik sambhand aa jata hai I 

in dono sambhand mein mahatyagi athrit nastomoha

I nastomoha ki nisani- dono sambhand mein na kisi mein ghrna hogi, na kisi mein lagav

Va jhukav hoga I 

Agar kisi se ghrna hai to os aatma ke avgun va aapke dilpasand na karne

Wale karm bar bar aapki budhi ko vichlit karenge, na chahte bhi sanklap mein, bolo mein 

Svapan mein bhi osi ka ulta chintan savt hi chalega I yad baap ko karenge aur samne aayegi 

Vai hai aatma I jaise dil ke jhukav mein lagav wali aatma na chahte bhi aapni taraf aakrshit

Kat hi leti hai I 

Ghrna ka biz hai savarth ka rayal savrup- ‘chahiye’ I

isko ya hai karna chahiye, ya hai nahi 

Karna chahiye, ya hai hona chahiye I

to chahiye ki chah osd aatma se vyarth sanmbhand jod

Deti hai I ghrna wali aatma ke parti sda vyarth chinta hona karn pardarshan chakrdhari ban

Jatti hai I 

to jo tang karta hai osme budhi nahi denge to jayegi na I sameh bhi jayega , budhi

Bhi jayegi aur saktiya bhi jayegi I dusra nisani saneh aur prapti ke aadhar par va alpkal ke

Liye sahara banne ke karn lagav va jhukav I ya hai bhi lokik , alokik dono sambhand mein 

Budhi ko aapni taraf khichna hai I jaise lokik mein deh ke sambhandyo duara saneh milta 

hai, Sahara milta hai, prapti hoti hai to os taraf vises moh jata hai na I lokik sambhand mein

mein bhi ya hai sab bate budhi ko aakrshit karti hai athrit jhukav aapni taraf sehj kar leti hai

ya hai bhi dehdhari ke hi sambhand hai I jab koi samsiya jivan mein aayegi, dil mein koi 

uljhan ki bat hogi to na chahte bhi alpkal ke sahara dene wale va alpkal ki prapti karane wale,

lagav wali aatma hi yaad aayegi I agar ek baap se sarv prapti ka sambhand, sarv sambhand 

ka anubhav aur sda sahare data ka atal vikas hai, niy hai to baapdada nirakar aakar hote bhi

saneh ke sambhand mein bandhe huye hai I sakar roop ki bhasna dete hai I hisab budhi mein

rakho I karmo ka hisab kitna gunah hai- isko jano I kisi bhi aatma duara alpkal ka sahara lete

ho va prapti ka aadhar banate ho, osi aatma ke tarf budhi ka jhukav hone ke karn karmatit

banne ke bajaye karmo ka bandhan bandh jata hai I ek ne diya dusre ne liya-to aatma ka 

aatma se len den huya I to len den ka hisab bna va smapt huya ? os samehanubhav aaise 

karenge jaise ke hum aage badh rahe hai lekin vai hai aage badhna, badhna nahi, lekin karm 

bandhan ke hisab ka khata jama kiya I rijalt kiya hogi ! Karmbandhan ke bojh wali aatma yaad

ki yatra mein sampurn risti ka anubhav kar nahi sakegi, vai hai yaad ke subject mein sda

kamjor hogi I knowledge sunne aur sunane mein bhal hoshiar, sensibul hogi lekin isenseful

nahi hogi I svris aebul hogi lekin vighan-vinashk nahi hogi I seva ki vridh kar lenge lekin vidhi purvak vridhi nahi hogi.

vidhipurvak varidh nahi hogi isliye aaise aatmao karm- bandhan ke bojh karn spikar ban

sakti hai lekin speed mein nahi chal sakti athrit udti kla ki speed ka anubhav nahi kar sakti







Vardaan


V- Apne kshama swaroop dwara shiksha dene wale Master kshama ke sagar bhava.------Yadi koi aatma apki sthiti ko hilane ki koshish kare, akalyan ki bruti rakhe, usey bhi aap apne kalyan ki bruti se parivartan karo ya kshama karo. Parivartan nahi kar sakte ho to Master kshama ke sagar ban kshama karo. Apki kshama us aatma ke liye shiksha ho jayegi. Aajkal shiksha dene se koi samajhta, koi nahi. Lekin kshama karna arthat subh bhavana ki duwayein dena, sahayog dena.


slogan


S- Swayang ko aur sarv ko priya wohi lagte hain jo sada khushaal rehte hain.



End of Page
Article Image
Details ( Page:- june 12th 2017 )

12.06.17


Pratah Murli Om Shanti Babdada Madhuban

Mithe bacche - yahan ke crore arab tumhare kaam nahi aane hain, sab mitti me mil jayega, isiliye tum ab sach khand ke liye sachchi kamayi karo.


Q- Kis ek baat ke kaaran tum Brahman Devtaon se bhi oonch maane jaate ho?


A- Hum Brahman abhi sarv ki roohani seva karte hain. Hum sabhi aatmaon ka milan Parmatma Baap se karate hain. Yah public seva Devtayein nahi karte. Wahan to Raja-Rani tatha praja hain, jo yahan ka purusharth kiya hai uski pralabdh bhogte hain. Seva nahi karte isiliye tum sevadhari Brahman Devtaon se bhi oonche ho


dharna ke liye mukhya saar


D- 1) Baap samaan sukh data banna hai. Mansa-bacha-karmana kisi ko bhi dukh nahi dena hai. Sada shant chitt aur harsit mukh rehna hai.______2)Faltu khayalato me time waste nahi karna hai. Baap ki andar se mahima karni hai.


Vardaan


V- Mere mere ko samapt kar purani duniya se marne wale nirbhay wo trusty bhava.------Log marne se darte hain aur aap to he marey huye. Nayi duniya me jite ho, purani duniya se marey huye ho to marey huye ko marne se kya dar, way to swatah nirbhay honge he. Lekin yadi koi bhi mera mera hoga to maya billi meow meow karegi. Logon ko marne ka, chizon ka ya parivaar ka fikra hota hai, aap trusty ho, yah sarir bhi mera nahi, isiliye nyare ho, jara bhi kisi me lagao nahi.


Slogan


S- Apni dil ko aisa vishal banao jo swapna me bhi had ke sanskar emerge na ho



End of Page
Article Image
Details ( Page:- 13th June 2017 )



13.06.17


Pratah Murli Om Shanti Babdada Madhuban

Mithe bacche - Sachche Baap ko apna sachcha sachcha potamel do, har baat me shrimat lete raho, isme he tumhara kalyan hai.


Q- Abhi tum kaun sa sauda kis biddhi se karte ho?


A- Surrender buddhi ban kehte ho Baba main apka hoon, yah tan-mann-dhan sab apka hai. Baba fir kehte bacche swarg ki badsaahi apki hai. Yah hai sauda. Parantu isme sachchi dil chahiye. Nischay bhi pakka chahiye. Apna sachcha sachcha potamel Baap ko dena hai


End of Page
Article Image
Details ( Page:- Murali 19th Jun 2017 )

19.06.17    Pratah Murli Om Shanti Babdada Madhuban


Mithe bacche - Sada Ishwariya seva me busy raho to Baap se love badhta jayega, khushi ka para chadha rahega.


Q- Nazar se nihaal hone wale baccho ki dil me kaun si khushi rehti hai?


A- Unke dil me Swarg ke badshahi ki khushi rehti hai kyunki Baap ki nazar mili arthat barshe ke adhikari bane. Baap me sab samaya hua hai.




Most Important


Duniya main karodo aatmaye hai , parantu koto main koi mughe pahchanta hai.
Swarag aur nark ekatta nahi rah sakte, hum Jeevan mukti ka versa payegen to Jeevan band rahne vale nahi chahiye.


Dharna ke liye mukhya saar


D- 1) Kabhi bhi kisi baat me moonjh kar nischay me upar niche nahi hona hai. Gharbar sambhalte, karmyogi hokar rehna hai. Bijay mala me najdik aane ke liye pavitra jaroor banna hai._____2) Buddhiwan banne ke liye gyan ka bichar sagar manthan karna hai. Sada khidmat (seva) me tatpar rehna hai. Aap samaan banane ki seva karni hai


Vardaan


V- Ek Baap dusra na koi, is smruti se nimitt bankar seva karne wale sarv lagaomukt bhava-------Jo bacche sada ek Baap dusra na koi- is smruti me rehte hain unka mann buddhi sahaj ekagra ho jata hai. Wo seva bhi nimitt bankar karte hain isiliye usme unka lagao nahi rehta. Lagao ki nishaani hai- jahan lagao hoga wahan buddhi jayegi, mann bhagega isiliye sab kuch jimmebariyan Baap ko arpan kar trusty wa nimitt bankar sambhalo to lagaomukt ban jayenge


Slogan


S- Bighna he aatma ko balwan banate hain, isiliye bighno se daro mat.




End of Page
Article Image
Details ( Page:- Murali 20th Jun 2017 )

20.06.17   Pratah Murli Om Shanti Babdada Madhuban


Mithe bacche - Satya Baap tumhe sab satya sunate hain, aise sachche Baap se sada sachche rehna hai, andar me koi bhi jhoot kapat nahi rakhni hai.


Q- Sangam par tum bachche kis contrast ko achchi tarah se jaante ho?


A- Brahman kya karte aur sudra kya karte, gyan marg kya hai aur bhakti marg kya hai, us jismani sena ke liye yudh ka maidan kaun sa hai aur humara yudh ka maidan kaun sa hai - yah sab contrast tum bachche he jaante ho. Satyug athawa kaliyug me is contrast ko koi nahi jaante.



Most Important


Shiv parmta ki mahima batao aur krishan ki mahima batao.ab judge karo ki geeta ka bhagwaan kon?yah jabardast topic hai , es par tumhe samgana hai.
Mahima satguru ki hai na ki guru kim guru log to dher hai , satguru to ek hai.


Dharna ke liye mukhya saar


D- 1) Sajaon se chhotne ke liye apne sab hisab-kitab chuktu karne hain. Sachche Baap se kuch bhi chhipana nahi hai. Jhoot kapat ka tyag karna hai. Yaad ki yatra me rehna hai._____2) Jaise Baap apkariyon par bhi upkar karte hain aise sab par upkar karna hai. Sabko Baap ka satya parichay dena hai.


Vardaan


V- Sakshi ban maya ke khel ko manoranjan samajhkar dekhne wale Master Rachayita bhava-----Maya kitne bhi rang dikhaye, main mayapati hoon, maya rachana hai, main Master Rachayita hoon- is smruti se maya ka khel dekho, khel me haar nahi khao. Sakshi bankar manoranjan samajhkar dekhte chalo to first number me aa jayenge. Unke liye maya ki koi samasya, samasya nahi lagegi. Koi question nahi hoga. Sada sakshi aur sada Baap ke saath ki smruti se bijayi ban jayenge.


Slogan


S- Mann ko sital, buddhi ko rahamdil aur mukh ko mrudu(mitha) banao.




End of Page